Saturday, May 11, 2013

Khan Sahab aap ko pata hona chahiay tha...

Khan Sahab aap kia soch k haam jahiloon ko aik QAUM banany niklay thay... App ko pata hona chahiay tha hamain izzat say sar utha k nahin chalna hamain tu dollars chahiain... hamain taleem nahin chahiay hamain sarkain aur laptop chahiain.... hamain sehat nahin chahiay hamain tu doctroon ki hartalain chahiain... hamain rozgar bhi nahin chahiay hamain tu qarzay chahiain... hamain Freedom of Information law ki zaroorat nahin hamain tu apnay kiay chupanay hain.... hamain whistle blowing ka qanoon bhi nahin chahiay hamain tu rishwat laini bhi hai aur dani bhi... hamain tax bhi nahin daina hamain tu awam k tax main say baray say bara hissa chahiay... hamain imanatdari ki kia zaroort jo hamari corruption k aray aay... Hamain insaaniant nahin chahiay hamain tu ghuday chahiay jo ghareeboon ka bachoon say roti cheen ka hamaray kuttoon ka pait bhartay rahain.... Khan Sahab hamain apni soch apni fiqr apni aqal apna shaoor isstaimal nahin karna hamain tu chodhrioon, Mianoon, Quraishioon, Somoroon aur bhatta khor badmashoon ko hi vote dena hai.... KHAN Sahab aap ko pata hona chahiay tha...